Archive for the ‘ Imdad Aakaash ’ Category

Hawa ka aag mein tabdeel ho jana bhi mumkin hy


Imdad Akaash

Hawa ka aag mein tabdeel ho jana bhi mumkin hy
Dhuwan ban kar mera tehleel ho jana bhi mumkin hy

Ye mumkin hy safar insaan ka jari rahe yun hi
Aur iss ki ek din takmeel ho jana bhi mumkin hy

Ababeelen jo ub ta’eed e gaibi ki alamat hein
Kisi lamhe mein unn ka feel ho jana bhi mumkin hy

Continue reading

Hum apne sawalon k sath chalte hein


Imdad Aakash

Agarche jannay walon k sath chalte hein
Magar hum apne sawalon k sath chalte hein

Talab to dekh hamari, tere nagar ki taraf
Hum apne paon k chalon k sath chalte hein

Sab apne apne tazadon k dam se hein zinda
Sab apne apne hawalon k sath chalte hein

Continue reading

Khoon k andar machalti khawhishon per zor kya


Imdad Aaskash

Khoon k andar machalti khawhishon per zor kya
Jism ki in bay irada harkaton per zor kya

Ye sama’at hy meri jis per mujhe qabu nahi
Duur se aati hui in aahaton per zor kya
Continue reading

Wo mere sath hy lekin


Imdad Aakash

Wo mere sath hy lekin mujhe wo jaanta kab hy
Mera hamzaad mujh ko shakl se pehchanta kab hy

Kisi ki aarzu hy jo liye phirti hy awaara
Khushi se khaak sehraon ki koi chanta kab hy

Continue reading

Lakhon chand ikathay hon to aik sitara banta hy


Imdad Aakash

Aao tumhe batlaen kaise khawb hamara banta hy
Lakhon chand ikathay hon to aik sitara banta hy

Kai samandar pee jata hy mitti ka her ik zarra
Phir ye zarray mil jate hein aur kinara banta hy

Meri ragon mein dorne wale khoon mein hy ye wasf ajeeb
Jab ye khoo’n zamee’n pe girta hy to para banta hy

Continue reading

Imdad Aakash – Sehra mein tishnagi ka


Sehra mein tishnagi ka koi hal milay mujhe
Paani nahi to reit ki daldal milay mujhe

Pagal gali k log nazar aye hoshmand
Aaqil nagar mein ghoomte pagal milay mujhe

Ik justaju azl se mere sath sath hai
Mehnat ka meri ub to koi phal milay mujhe

Continue reading