Posts Tagged ‘ shayari ’

Udaasiyon k sabab jo likhna


Udaasiyon k sabab jo likhna
to ye bhi likha …
k, chaand taaray
shabab aankhen
badal gae hein

wo zinda lamhe
jo teri rahon mein tere anay k muntazir thay
wo thak k sayon mein dhal gae hein
wo teri yaaden khayal tere
ranj tere, malal tere
wo teri ankhen, sawal tere
wo tum se mere tamam rishte
bikhar gae hein ujjar gae hein

udaasiyon k sabab jo likhna
to ye bhi likhna …
laraztay honton pe larkharati dua k sooraj pighal gae hein
tamam sapne he jal gae hein

Reit k zarron sa


Reit k zarron sa youn chantay phataktay rehna
Yeh he maqsoom hy apna k bhatakte rehna

Aise badla hy muqaddar k shab o roz younhi
Apne hathon se lakeeron ko jhataktay rehna

Ta dam e marg milay gi ye mohabbat ki saza
youn he tanhai ki sooli pe lataktay rehna

Na koi ehd na imkaan k aey ga koi
Bus isi tarha her ahat pe thitatktay rehna

Kya khabar youn he thamay gardish e ayyaam kaheen
Khaar ban kar younhi daman se ataktay rehna

Her koi dil ki hatehli pe hy sehra rakhe


Ahmed Faraz

Her koi dil ki hatehli pe hy sehra rakhe
Kis ko seraab kare wo, kisay pyasa rakhe

Umr bhar kon nibhata hy taaluq itna
Aey meri jaan k dushman ! Tujhe Allah rakhe !!

Hum ko acha nahi lagta koi hamnaam tera
Koi tujhsa ho to phir naam bhi tujhsa rakhe

Dil bhi pagal hy k uss shaks se wabasta hy
Jo kisi aur ka hone de, na apna rakhe

Hans na itna bhi faqeeron k akele pan per
Ja ! Khuda meri tarah tujh ko bhi tanha rakhe

Ye qan’aat hy, ita’at hy k chaahat hy FARAZ
Hum to raazi hein wo jiss haal mein jesa rakhe

Abr mangay meri dharti to samandar dena


Mohsin Naqvi

Pyaas bakhshi hy to phir ajr bhi khul kar dena
Abr mangay meri dharti to samandar dena


Ye sakhawat mere shajray mein lkhi hy pehle
Apne dushman ko duaen tah e khanjar dena


Mere khaliq meri ankhon ko jo nam rakhta hy
Uss k sehraon ko daryaon k tewar dena


Shehr walo ! kabhi aezaaz jo taqseem karo
Mujhe sheeshay ka libada, usay pathar dena


Yaad aye jo mere baad sanwarna uss ko
Aey shab e hijr usay chaand ka jhoomar dena


Qarb Mohsin ki musafar k khudawand e jaleel
Khaak zadon ko sada bakht e sikandar dena

Ik shaks be maani


Ghazal

Mein ik nakaam sa, bhatka hua
ik shaks be maani
k jis ki soch ka her rabt toota hy
guma sa hy
k jis ki zaat k ander
kahin koi khala sa hy
jo mere lafz hein
mujhse he roothay hein khafa se hein
jo meri soch k mehwar hein
wohi mujhse juda se hein
mein, jese ho kisi selaab ki zad per shajar koi
k jis ko behr soorat doobna anjaam hona hy
safar chahe kahin ka ho
mujhe nakaam hona hy
meri tadbeer haray hy
meri apni lakeeron se
isay kehna usay kehna to bus
ilzaam dena hy
k mein ne apni herat ko
koi to naam dena hy
mein apni zaat ka qaidi
mein apni baat ka mujrim
mein apni jang ka munsif
mein apni qabr ka matam
mujhe khud se he milna hy
khud he se rooth jana hy
khud he khud ko manana hy
khud he ko aazmana hy
mujhe rukna kahan per hy
kahan se loat ana hy
abhi mujhko nahin maloom
mein kin raston pe chlti hun
wo kesi aag hy jis mein yunhi din raat
jalti hun
azal se bhatki hun ya ub mein rasta bhool bethi hun
mujhe tasleem karna hy
k
mein ik aam sa nakaam sa ik shaks hun
aur bus …

Tu jafa kaar hua hy to wafa kis se karen


Ayub Khawar

Baat ye tere siwa aur bhala kis se karen
Tu jafa kaar hua hy to wafa kis se karen

Aaina saamne rakhen to nazar tu aye
Baat jo tujh se chupani ho kaha kis se karen

Hath uljhe hue resham mein phansa bethe hein
Ub bta konse dhage ko juda kis se karen

Zulf se, chashm, lab o rukh se, k tere gham se
Baat ye hy k dil o jaan ko juda kis se karen

Tu nahi hy to phir aey husn e saaz bta
Is bharay shehr mein hum jaise mila kis se karen

Tu ne to apni si karni thi so kar li khawar
Masla ye hy k hum iss ka gila kis se karen

Haqeeqat kuch nahi hoti


 

Hamesha sath mein rehne ki adat kuch nahi hoti
Jo lamhe mil gae jee lo, riyazat kuch nahi hoti

Jisay mehroomian milti hon wo he jaan sakta hy
Zubani hosla, jhooti murawwat kuch nahi hoti

Kai rishton ko jab parkha, nateeja aik he nikla
Zaroorat he sabhi kuch hy, mohabbat kuch nahi hoti

Kisi ne chor k jana ho to phir chor jata hy
Bicharna ho to sadyon ki rafaqat kuch nahi hoti

Taa’aluq toot jae to safeenay doob jate hein
Ye sab kehne ki baten hein, haqeeqat kuch nahi hoti

Mere hamsafar abhi soch le


Mujhe yaad koi dua nahi, mere hamsafar abhi soch le
Tu meri jabee’n pe likha nahi, mere hamsafar abhi soch le

Abhi raasta bhi hy dhool mein, abhi faida bhi hy bhool mein
Abhi mujh ko tujhse gila nahi, mere hamsafar abhi soch le

Mein janam janam se naraz hun, mein janam janam se udas hun
Mein kabhi bhi khul k hansa nahi, mere hamsafar abhi soch le

Continue reading

Fareb e zaat se niklo, jahan k saanehy dekho


Fareb e zaat se niklo, jahan k saanehy dekho
Haqeeqat munkashif ho gi, kabhi to ainey dekho

Wo aik ajnabi jis se, taaluq sarsari sa tha
Hamare dil mein hote hein, usi k tazkare dekho

Likha hy waqt ne ye bhi, ajab apne muqaddar mein
Palatna he nahi jis ko usi k raaste dekho

Continue reading

Mujhe gumnaam rehne ka kuch aisa shoq hy hamdam


Mujhe gumnaam rehne ka kuch aisa shoq hy hamdam
Kisi benaam shehr ki bhatakti dhoop ho jaise

Jahan saaey taraste hon kisi paikar ki ahat ko
Jahan zinda na ho koi jahan bus moat rehti ho

Ya kuch aisa k darya k kahin us par keekar pe
Kisi chirya k bache ki tarapti pyaas ho jaise

Continue reading