Archive for the ‘ Mohsin Naqvi ’ Category

Abr mangay meri dharti to samandar dena


Mohsin Naqvi

Pyaas bakhshi hy to phir ajr bhi khul kar dena
Abr mangay meri dharti to samandar dena


Ye sakhawat mere shajray mein lkhi hy pehle
Apne dushman ko duaen tah e khanjar dena


Mere khaliq meri ankhon ko jo nam rakhta hy
Uss k sehraon ko daryaon k tewar dena


Shehr walo ! kabhi aezaaz jo taqseem karo
Mujhe sheeshay ka libada, usay pathar dena


Yaad aye jo mere baad sanwarna uss ko
Aey shab e hijr usay chaand ka jhoomar dena


Qarb Mohsin ki musafar k khudawand e jaleel
Khaak zadon ko sada bakht e sikandar dena

Ye akhri khat main likh raha hun


Mohsin Naqvi

Udaas tehreer parh k meri mere sanam muskura na daina
Ye akhri khat main likh raha hun khayal karna jala na daina

Guzar rahi hy tumhari kaise bichhar k humsay rula k humko
Haqeeton ko zaroor likhna anaa ki Khatir chupa na daina

Koi jo poochay kidhar gya wo? jo teri mehfil ka tha sahara
Jo furqaton ka sabab baney they kisi bashar ko bata na daina

Continue reading

Wo chahne walon ko mukhatib nahi kart


Wo chahne walon ko mukhatib nahi kart
Aur tark e taa’luq ki mein wazahat nahi kart

Wo apni jafason pe nadim nahi hota
Mein apni wafason ki tijarat nahi karta

Khushbu kisi tash’heer ki mohtaaj nahi hoti
Sacha hon magar apni waqalat nahi karta

Continue reading